dunia bhar ke loag online earning ke
with investment aur without investment
beshumar platforms per work kar rahay hain aur achi khasi earning generate kar rahay hain.
dekhen business koi bhi ho wo sab se pehlay 4 cheezen lazmi mangta hai..
1. Investment
2. Time
3. Mehnat (Hardwork)
4. Consistency (Mustaqil mizaji)
is 4 cheezon mein se aap koi b kam krengay tou taraqi k chances utnay he kam hongay.
ab bilfirz ham shop purchase karlen ya rent per lay kar usmein maal bharden aur lock kar ke ghar mein bethay rahen ... tou kia business grow krega ?? ke bs investment tou kardi hai ab khude paisay ana shuru hojayengay ... tou esa nahi hoga ... dusray shop open kren lekin customers se theek se baat na kren onhen mutmayen na kren tou bht ziyada arsa business chalne ki grantee nahi..
acha phir fraud physically business mein b hosakta hai ... saray doodh ke dhulay yahan b nahi hotay ... Physically business bhi dekhbhal kar aankhen khol kr smaj booj ke sath kiya jata hai.
Online earning work mein fraud esay he logon ke sath hota hai jo isay koi jadoo samjhtay hain ke bas thoray se paisay dein aur hamen double hokar miljayen phir inko esay he loag miltay hain jo sabz bagh dikhatay hain aur inse paisay pakar kr ghayeb hojtay hain..
jab ke real online earning work bhi investment mangta hai, Mehnat (Hardworking) mangta hai, time mangta hain consistency mangta hai phir kahin jakar phal dena shuru krta hai.. han bs kiun ke online earning work smart devices per kia jata hai is liye ye smart work ha ismein phisically business ki tarha mehnat nahi karni parti na bht ziyada paisa invest karna parta hai.
jin loagon se na mehnat hoti hai na sabar hota ha, na mustaqil mizaj hotay hain online earning work un ke liye bilkul bhi nahi un ke liye ye fraud fake he hota ha
kiun ke dusray loagon ki earning dekh kar wo ismein aatou jatay hain invest bhi kardetay hain lekin jald he haar man jatay hain aur aik he baat zehn mein bitha letay hain ke ye sab fraud hota hai fake hota hai halan ke wo bht se loagon ko is online work se lakhon rupay ki earning karta dekh bhi rahay hotay h
0 Comments