Passive income
Passive income means aisi income jo apko aik baar investment krnay k baad mustaqil buniyad per income hoti rahay aasan alfaz mein non working income bhi kehtay hain lekin aisi income earn krnay k liye ya tou bht ziyada investment karnay ki zaroorat hoti hai ya phir aap starting mein bht ziyada hardworking kr chukay hotay hain aur apna aik taqatwar system bana chukay hotay hain lekin jab aap network banaletay hain tou apki mehnat bht kam rehjati hai balke na honay k barabar aur income bht ziyada hoti hai.

Is ke examples mein
Property (shop ya house) , Bank ya stock markets mein save ya invest kia gaya paisa.

Aur bohat c sales and network marketing companies jo apnay customers ko apnay sath business ki opportunities deti hain jesay k EBL Pakistan, Daraz, Amazon waghera jahan apko har sale k sath apnay banaye gaye network ki working se bhi earning horahi hoti hai. 

Iske elawa blogs aur website building yaani apni website bana kr ya apna blog create kr k goolgle adsense k zarye advertisement se income hasil karna ki jasakti hai visitors jab aapke blogs ya websites per dikhaye gaye advertise per click kartay hain tou apko earning receive hoti hai.

Books Library (PDF) banae jasakti hai. Online courses (Lectures), Pictures, upload kr k achi khasi passive income generate ki jasakti hai ( k y aik baar he upload hotay hain lekin income life time hoti rehti hai)

Passive income ke liye baqayeda aik framework banana zaruri hota hai aur is mein sab se ziyada jo chez zaruri aur ahm hai wo hai Sabr aur mustaqil mizaji yani aap apnay kaam mein lagay rahen start mein aapko kuch ba natayej hasil nahi hotay aur aik waqt aisa aata hai k aap bilkul mayus hojatay hain aur work karna chor detay hain jab bhi aap mayus hokar work choren aap foran ye baat yaad Karen k “ Naakaam honay walo mein bht sy aisay bhi hotay hain k jab unhonay work chora tou wo kamyambi se bht qareeb they” isliye mehnat krna work karna kabhi na choren shuru kiya hai tou end tak lazmi lay jayen ... mehnat karna hamara kaam hai aur kamyambi dena Allah ka kaam.. aaj jo ham bohat say kamyab logon ko dekhtay hain wo loag sakht mehnat ke baad yahan tak ponchay hotay hain q k kamyabi agar itni aasan hoti tou aaj dunia ka har shaks kamyab hota.